Kabhi-2 Aapka Cell Phone Kharab Ho Jata H Matlab Band Ho Jata H Kuch Bhi Repairing Problem Ho Jaye Lekin Aap Shop Par Nahi Jana Chahte Hai Toh Ghar Pe Apna Mobile Repair Karna Koi Muskil Kaam Nahi Hain . Iske liye Aapko Kuch Most Important Mobile Repairing Tips In Hindi Me Janne Ki Jarurat Hogi . जानिए मोबाइल रिपेयर कैसे करें .
Mobile Repair Kaise Karte hai Ghar Par internet par Aapko Bhut Saare Software Tips And Repair Books Mil Jayenge Jisse Aap Pdf Me Download Karke Kuch Bhi Seekh Sakte H. lekin hame Janna Hain Ki Mobile Repairing Kaise Karte hain Aor Repair Karne Ka Tarika Kya H .
Yaha Mai Aapko Kuch Ese Mobile Repair Tips Hindi Me Bataunga Jinko Janne Ke Baad Aap Mobile Ki Problem Ka Solution Karke Fix Kar Sakte Hain .
But Aapko mobile Ke Kuch Part Ki Jankari Honi Chahiye Jaise Ki Screen , Dad phone , Battery , IC , Transistor , Software , ETC . Aap Smartphone Ko bhi repair kar sakte hai chahe usme kuch bhi problem Software , hardware , Ki kyu naa Ho . Yaha Mai aapko kuch Repairing problem Ke Sath unka Solution Bata Raha Hu .
5 Important Mobile Repairing Tips In Hindi
Waise market me mobile repairing se jude kuch course or free books aaj ke time me hindi me bhi mil jaynge jihne padhke aap smartphone me aane wali kuch samsyao ka samadhan dundh sakte hai .
1. When Device in Water
Jab Aapka Phone Pani Me Gir Jaye Toh Sabse Phele Use Pani Se Bhar Nikale . Fir Uski Battery Phone Se Alag Hata Le Aor Usko Dhup Me Sukhne Ke Liye Rakh De .
Dhup Me Battery Ko Nahi Rakhe Aor Phone ko 2-3 Hours ke baad On kare aor Dekhe ki On Huaa Hai Yaa Nahi . Agar on Nahi ho raha hai toh Usko Shop Par Le Jaye Kyu ki Uski Service Hogi . iske alawa aap kuch chawlo me apne phone ko rakh den . ise chawal pani ko sockh lega jisse mobile me jo nami thi wo khtm ho jaygi .
2. Don’t Power On/OFF
Jab Device On Yaa Off Nahi Ho Toh Aapko Samaj lena Chahiye Ki Aapke Phone Ka Software Died Ho Gaya Hai Aor Usme Shop Par Jake Software Install Karwana hoga .
Aap Ise Ghar Par Bhi Kar Skate Hai Lekin Iske Liye Aapko Computer Chahiye aor Iski Jankari Bhi Honi Chahiye .
3. White Display Problem
Kabhi-2 Chalte huye Phone Me Display White yaa Blue Ho Jati Hain . iske liye Sabse phele yeh Dekho ki ye Problam Aapko set Girne par Aayi Yaa Fir Display Change karwane par .
Iske aadhar Par aap iska solution kar sakte ho . Changing me aap fir se Dukan par Jaye .
4. Charging Problem ( Bad Connect Repairing )
Kai Bar Charging Lagane par Ek ” Bad connect ” Eroor aata H . jiska matlab H Ye Fone Charger ko support Nahi kar raha hai . isliye aapko ise change karne ki jarurat hain .
Aapko Usi company ka charger use karna Chahiye Jis company ka Mobile H . halaki dusre ka bhi upyog kar akte hain isse koi problem nhi hogi . lekin kabhi bhi local charger ka istemal nahi karen .
5. Insert Sim Problem
Kai Bar Aata Hai ki Sim Not Support . Toh 1,2 Bar Sim Badal kar Dekhe . Check kare ki Sim Jeck Me Koi Khachra Toh nahi H .
Agar bhi Sahi Nahi Ho toh Aapke Set me Network IC dead hain . isliye ise change kare
Cell Phone Repair ke liye aapko bhut saare Upkarno ki jarurat hoti hai Jaise Solder ,Tar , Meter , Etc . Agar Aapke phone me Koi Esi Repairing Problems hain toh comment karke bataye . Hame Aapki help karne me Khusi Hogi .
Bhai mera mobile 1mahine pehle pani mein gir gaya tha mene 1mahine bad on kia hai magar black display araha hai or kam nahi kar raha mein kiya karo help
Mobile. Repairing karne ka liya kuch tool chahiya or spare parts kon se shop mai milaga sir
sir mere Android phone ka back batten nhi kam Karta hai isko kese thik kren kese kare !
Backbotton app download kro
Mera Samsung phone pani me gir gya hai dhup me rakhne se bhi on nhi ho rha hai plz guide me.
#suhana , apne mobile or battery ko thik se dhup me sukhaye agar iske baad bhi on nahi hota hai toh repair shop visit karen .
Mobile phone repairing karne ke bare me bahut hi badhiya jankari share kiye ho…keep it up bro
sir uska track to hoga kai aur se ho skta hai ya nhi
sir Mera YU 5010A Cell phone hai Uske on/off,Volume Up/Down ke print Hat gye Hai Ab kya kru sir Usme
@Rishee Button Ka Print Hat gaya hain Toh Aapko Service Senter Jana hoga ki print Lagega Ya nahi
Comment:Sir mera phone aadha switch on hota h .
sirf micromax likha aata h aur fir band ho jaata aur apne aap screen on hoti h micromax likha aata h .fir band ho jaata h bas.
yahi process hi chalti reheti h.
to bataiye me kya karu.
#mayur Dashke Aapke Mobile Me Software Problem Hain Jo Ki Mobile Service Center Par Hi Thik Ho Sakti hain .
Very nice article surendra ji
Main bhi mobile phone repairing ke bare me post likhta hu please visit my site
mere phone me software dead ho gaya hai or service center ne bhi manaa kar diya
hainrecovery mode se start karta hu to no command ki error dikhata he or power on karta hu to only company ka symbol dikhata he
so please help me
Software ke liye aapko Koi Badhiya Repairing Shop Wale se Baat Karni Hogi Kyu Ki Software Dead Hone Ke Baad Mobile sahi hone Ke Chances Km ho Jate Hain
Hello ser
Mera ek htc mobile hai
Jo sceen par ek picture dikha rha hai uske bad koi options nhi de rha ander jane ke liye
Help plz
Sir mera mobile yu 4711 h isme charging problam h mobile ko band karne se charging hota h chalu karke charg karne se nhi hota h aysa q ho rhaa h sir ji
Usme Problem Software Ki Ho Sakti H Ya Fir Usme Charger Ki Mistek Ho Isliye Ek Baar Repairing Sentar Par Check Karwa Lo
Sir mera mobil micromax unit 3 hi use on krne PR only micromax unite likha arha hi kya kru
hello sir mobile repairing practically sikhna hai aur job krni hai jise me apna cariar bna sku
bahut hi useful jankari hai check my site.
all mobile repairing solutions,full mobile repair explain my website
mobile75help.blogspot.com
mere phone Micromax A27 h isme sim nahi chalti h aur sim ic bikul thik h mene kai war apna phone check karya h parntu koi bhi isse thik nahi kar pa raha h sayd isme motherbord dalna h kaise dale
mera phone girne se uski display white ho gayi he
Display white ho gayi hai toh aap phone ko service center leke jaye
Sir mere Nokia phone 110 me insert sim Bata raha hai kaise repair kare photo sahit bataye please.
sir 1nokia c1 01 uski display lightwnhi arahi use jumfer bhi kar liya par nhi hua bur display thk he usme rsab chalta he bas light nhi
SIR PLZ AP BTA SAKTE HO INTEX CLOUD Y4 KO KIS MOBILE KI BATTERY SET HO SAKTI HE
No idea
SIR MERE PASS INTEX CLOUD Y4 HE USKI BATTERY KHARAB HO GYI HE PHUL GAYI AUR KAHI MIL NAHI RAHI TO USI BATTERY KO KSE REPAIR KARU KOI TARIKA BTAO PLZ
Karab huyi battery ko ham repair nahi kar sakte but Koi dusre phone ki battery ko ham setup kar sakte hain
Sir Mera phone ka up aur down button kaam nahi kaar raha hai jee .To kya kaar please help me .so thanks
aapne bataya sir ki phone ke andar kabhi kabhi display dark ho jata hai to sir mujhe yeh problem kuch 1 2 Mahino Se Hai Sir Kabhi Roshani Full Ho Jati Hai Kabhi Dark Ho Jati Hai Iska Kya Problem Hai Sir Kripya Bataye Aapke Answer Ka Intezar Rahega Sir
Aap Shop pe jake ek bar Display check karwa lijiye yaa fir phone ki Display setting ko check kare
are bhai toh ye bta yr ki mera off on ni ho raha hai toh osse sahi kese karo mujhe tutorial sedn kr de bhai mere pass computer bhi hai bus jaankari toh de de bhai pls
Jab phone on off nahi ho raha hai toh isme power IC ki problem hai jo ki mobile repair shop pr hi sahi hogi
Sir mujhi Mobile repaireg sekhna hai to kasi sekho sir please help me
Aap uske liye online ya offline mobile repairing courses kar sakte hain
Si mera mobile vivo v1 hai wo on nahi ho raha hai..white screen dikh rahi hai..service centre par dikhaya wo motherboard kharab bata rahe hai..kya karu sir
Jab phone ka mother board khrab Ho chuka hai toh aap usko change karwana hoga
Sir mere mobile micromax 110Q me camera not connecte ka problem hai to ye hardware hai ya software
Ek bar restore karke check karo agr nahi hota hai toh hardware problem Ho Sakti hai
ek mera nokia one sim ka mobile hai uska net ic udd gya hai dakan par bhi nhi shi hua hai usme kabhi network aata hai aur kabhibnetwork nhi aata hai kya karu aap hamari helpnkare
Ic ke liye aap dukan par sampark kare
Mere Samsung j2 ko mene hard resate kiya abhi vaha google ac mangrahe he
Ror muje nathi pata google ac ya kuch bhi bypass kiya to bhi nahi ho raha kya karu me ab
Aajkl mobile me bypaas tricks work nahi karti Isliye Usme email address aor password dale Jo phele usme open liye huge the
sir all mobile repairing ka pdf book ka website kaun sa hai
jaha solding karte h agar us jagah pe jo pital ka treak ho ta h wo hat jaye to waha pe kaise hogi soldring
ya phir bahut bar soldring karke ho ghis jaye waha par to soldring wire chipakta hi nhi uske liue kya kare
Jab Pital Ka Tar Dikhna Band Ho Jaye Toh Ham Usko Jumfer Se Jorte Hai Jo Ek Traha Ka Tar Hota Hai
sir main mobile repairing shop kholna chahta hu
to main ye janna chahata hu ki minimum kitne paiso me shop khul sakti hai
Mobile repairing shop kholne ke liye aapko Starting me 10000+ Ka Kharcha Aayga
sir mera mobile intex aqwa hai jiska camera open hi nhi hota hai or ek sim bhi kaam nhi krta hai
Muje 3G phone ko 4G me update Karna hai Sir
Akash 3g Phone 4G Me Update Nahi Ho sakta .
mere pass ek s4 ka phon hai wo chalu to hai but usme kisi prakar ki aawaz nahi aa rahi na back camera on ho raha hai ye kya problem hai sir kya aap bata sakte ho??
Aawaaj Nahi Aa Rahi Hai Toh Usme Speaker Kharab Hoga Ya Fir Volume IC Bhi Dad Ho Sakti Hain Aap Ek Bar Mobile Shop Par Bhi Dikha Sakte Ho
Mobile reparing
sir muge cabal se connect wi fi ka pa passrwd kese pata kar sakta hu
sir mere mobile me searching network dikhata hai khabi khabi hel[p
Sayad Network IC me Problem Ho Sakti Hai
contry unlock kaise kare
Sir kaha se hindi me pdf file milegi mera matlab konsi wabsite se
Google par search kare
Mujer video mixing sikhni hayi
Video Mixing Ke Baare Me Mai Jaldi Hi Post Likhunga .
2. Me aapne bataya hai ki phone ki software died ho to aisa problme aata hai aur phone me software daalni padegi mere paas PC hai software kaise daalte hai wo mujhe bataien sir
Uske Baare Me Next Day Post Dalunga Wo Padh Lena
Sar mujhe mobile repair ka kaam pasand he or me kuch kuch kar v leta hu sir aap mujhe ye btaye kon app he jisme hindi me mobile repair ku saari baate he sir plllzzzz
#Jasim Aapko Hindi Me Koi Esa App Toh Nahi Milega Haan Lekin Aapko internet Par Pdf Book Jarur Mil Jaygi . Yeh Aap search Karlo Net Pe