Ham Apne Phone me Apna Personal data Documents Jaise ki Contact , Sms , Photo , Video , Song Kuch bhi Save Rakh Sakte hai Aor Jab Hame Jarurat Ho tab Ham Inhe Use Le Sakte Hai . Kabhi-2 Hamari Galti Ki Wajha Se Hamare Phone Ka pura Data File Delete Ho Jati Hai Aor Fir Se Unhe Recover Karne Ki Jarurat Hoti Hai .
Data Delete Hone Ke Bhut Se Karan Ho Sakte Hai Aor Agar Ham Iska Dhyan Nahi Rakhenge Toh Recover Karna Muskil Ho Jata Hai .
Isliye Esi Problem se Bachne Ke Liye 5 Din Me Backup Banate Rahe Jisse Ham usse Bina PC , Computer Ke Recover kar sake . Agar Aap esa Nahi Karte hai toh Fir aapko pc ki jarurat hoti . Data file delete hone ke kuch karan hote hai .
Ex:-
Format Hona
Mobile Hard Reset Karna
Software kharab hona
Aor Bhi Bhut Saare Karan Ho sakte hai .
Ye Setting Apne Mobile Me Karen
Phone ka Data recover karne ka jo Main Yaha Aapko tarika bataunga usse aap kishi Bhi Device Ex:- Android , Samsung , Ka Data Kuch Hi Minutes me Kar sakte hai .
Uske Liye Aapke Paas Ek Data cable aor Pc Computer Chahiye . Isse Phele aapko Kuch Setting Complete Karni hogi jo mai aage bata raha hu
1. Sabse Phele Niche di gayi link se Data Recovery software Download kare Aor Apne Computer me complete install Karle
Download For Pc
Download For Mac
2. Phone Ki Setting me Jaye Aor Sabse Last Me ” Developer options ” hoga uspar click kare .
Agar Aapke phone me yeh option nahi hai toh koi baat nahi Ab setting me Scroll down karke niche Jaye aor ” About phone ” Par click kare .
Next page par aapko bhut saare opation milenge jimne sabse niche ” Build Number ” Ka option hai Uspe Double Click Kare Aor Fir se back karke Setting me aa jaye
Isme dekhenge ki Waha Par ” Developer Options ” Aa gaya hai . Ab Iss par Click kare .
# Isse on kare
# USB Debugging ko enble kare .
# phone Aor Pc ko Data cable ki Sahayta se connect kare .
Mobile Data Recover kaise Kare
1. Sab kuch setting complete karne ke Baad Ab ” Data recovery Software ” Ko Open kare .
Yaha Dekhe Ki Isme Aapke Mobile Ka Name Aa gaya Hai aor sabhi File Ki List Bhi Aa gayi Hai . Ab Next / Start Par Click Kare .
2. Ab next page par aapko Spersu permission conform karni hai
Jisme Aapko 3 Step par ” Allow ” par click karna hai Aor last me ” Start ” Buttion par click kare .
3. Agle page par Aapko wo file list show hogi jinhe aap recover karna chahte hai .
Jo bhi file recover karni hai Uspe Mark laga de Aor last me ” recover ” par Click karde .
Kuch Hi Minutes me aapki sabhi file Computer me save ho jaygi jinhe aap fir se phone me transfar kar sakte ho .
Android Mobile ke delete huye data ko fir se recover karne ke yeh ek Simple Aor Short Tarika hai jise aap aashani se use kar sakte . Agar iske baare me aapke paas koi sawaal yaa questions hai toh hame comment karke bataye .
All images And Guide Source from
Pc ki jagah mobile se hi data recover karna ho to uska kay tarika he
Mene apna mobile sel krdiya .. or restore kr k.. phr mene us m faltu data dala storage full hogai again mene restore kiya … Or aik bar phr mene faltu data dala orr restore kiya mob…
Ab ap ye btain kya mera data phr b nikal skta h Mobile se pixx wgera hen family frnds ki
Mera phone reset ho gya h backup bhi nhi liya to kaise ho Sakta h data recovery
@Ved , Aapko computer se data recovery karna padega , iska tarika isi post me bataya gaya hain .
Sir iss software se sirf andriod phone ka data hi recover ho sakta h ya basic phone ka bhi data recover ho sakta h….
@Divya , Aap isse sirf Android mobile ka hi data recover kar sakte hain .
sir mere phone display toot gyi hai vault app main vedeo hide thi to wo kese nikale plzzz bataye sir
@Rahul , Aap dusre mobile se vault app me login kar sakte hain agar usme aapne login kiya tha .
Hello
Sir Mera phn apne aap Se off ho gya tha service Centre walo me mother bord change kia hai kya uske bad data recovery ho skta hai plz rply
#prabhat , mother board change karne ke baad data recovery karna aashan nahi hain .
hello sir mera mob water damge ho gaya hai uska last option bord change karna hai tho mere us bord ka data kase hum recover kare plz plz mujhe batye
Sir mere pass Samsung tizen z1 phone hai jisaka data galati se delete ho gaya data kaise recover kare please
@Ravi Singh , MAine isme bataya hain
Phone ko reset karne ke Bad recovery kase kare us k liye usme use mail id ur passwrd chahiye Kay give me reply
#vipin jo gmail id lagaya hai wo hi dale
sir mera phone galti se reset ho gya hai but mene mobile start kiya to camera ki image to recover ho gyi but mene other folder bhi bna rakhe the bo nhi recover hue jese ki beuty pluse pic , share it ki pic ye sb restor nhi hua sir kya main jan sakti hun ki isse kese resore karenge my sumsung ka hai
@Namrata , Iss post me bataye gaye tarike ko computer me use karo
Dear sir mera samsung phon do sal pahle gum ho chuka h kya me email ke through apna imprtant data recover kar sakta hu
@Raja , Raja 2 year phele khoye huye mobile ka data recover karne ke liye wo gmail id check kare jo usme login thi ,
Samsung j7 prime me se mere kuch photo delete ho gye hai kya wo bhi ..restore ho sakte hain???
Pls rpl
@usman , Haan Aap computer me Recovery Software se Delete Data Fir Se recover Kar Sakte Ho
Mobile ki display tut jane k bd b data pc m transfer ho skta h
Mobile modle htc desire C n nokia lumia 610
@Sarvesh Haan Ham Display Creck hone ke baad Bhi Data Transfer kar sakte hain bs Usb Cable Connect honi Chahiye
Sir yeh to bhut slow ho rha h es me to one our ka time lag jayega
#yash Isme Itna Hi Time Lagega Or Wo Computer Ki Speed Par Depend Karta Hain
Halo data mere fon se data foto delet ho gayi hai kese vapas laye plz help
Badhiya, is tarike se koi bhi mobile user apne jaruri data ko delete hone par bhi recover kar sakta hai thanks for sharing this post.
Hello Mr mere Phn ki screen toot gyi date nikal liya cable se bt private mood ka date kaise nikal skte h
Model Galaxy E700H
Help me Boss
Phone ki screen tutne ke baad aapko rapiring senter pr jana padega
Sir mere phon me applock se photo aur video delet ho gaya hai to use vapas kaise la sakte hai mere pas na pc na laptop hai sir plssssss
Sir vault se delete pics vapas mil skti hai. Agar ha to kaise. Mere pass pc ya laptop nhi hai. Bina pc ya laptop ke pics mil skti hai to mujhe plz btaye.
sir maine apna phone charge me lagayatha uske Baad charger se nikal kar on kra to on nhi ho raha please help me
Mere phn me na song rahe na meri pics…un sbko recover kaise kiya ja skta hai
Maine isme data recovery software ke baare me bataya hai usko download karke Fir se data restore kar sakte hain
sir ji samsung galaxy 2G supporter hai. kya ye 3G nahi ho sakta
Sir mene apna phone reset Mara jisse mere phone memory ka data delete ho gaya sir kya vo vapas aa sakta hain please sir bataye kese
Haan aa sakta hai computer se data recovery software ka istmaal kare
Maine apne samsung z3 phone mai factory reset kiya tha.aisa karne se mere device mai store sara data delete ho gaya.kya ye wapas mil sakta hai.plz reply
Haan aa sakta hai data recovery software se
sir maine apne phone me smart lock app install kar rakkha tha aur gallery ki photos wgaira us smrt lock app me hide kar rakkhithi aur phone ko maine reset kar diya to ye bataiye ki wo data wapas aa sakta hai smart lock app k andar ka ya nhi agar ha to sir kaise please
Wo Toh Aapko Check Karna Hoga Smart lock App ko Open Karke
mobile ki display karb hone ke bad kya dhik kase hoga hoga
Mobile ki Display Kaise Khrab Huyi
mera mobile main call aane par receive karne ke baad baat karthe waqt mobile main kuch nahi dekha that hai call ended hone par dekha tha hai
bataye kya kare ???
Jab call chalti hai tab mobile ki light band ho jati hai
mobile repair karne ka software machine kaha milta hai….
Electronic Shop Par Mil Jayga
Ket pahle ka data recover kar sakte h
Ha Phele Ka Bhi Recover Kar Sakte Hain
acutually bhai ji start buton par click karne ke bad (network error,please check your network connection and try again) ka option dikha rha hai aage kya karna hai please hame btaye
Aap Apne Mobile Ka Internet Data On Kare